logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - nadeem sarwar - 2004

Sha Ast Hussain

sha ast hussain badshah ast hussain

deen ast hussain deen panah ast hussain


sar daad na daad dast dar daste yazeed

haqqa ke bina la illaaha ast hussain


sardaro shehenshah ay shahe shaheedan

qaari sare naiza ay waarise quran

kehti hai namazay ab tak sare maidan

suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain

sha ast hussain....


azaaon namaaze milad-e-mohammed

ye majlis-o-matam abbas ka parcham

kehti hai sabilein kehta hai moharram

suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain

sha ast hussain....


akbar ka kaleja halq-e-ali asghar

abbas ke baazu zainab ka khula sar

ye kehte hain tujhse ay shaam ke lashkar

suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain

sha ast hussain....


marqad se nikal kar khud fatema zehra

maqtal ki zameen par deti rahi pehra

khanjar se sina se kehti rahi zehra

suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain

sha ast hussain....


zanjeer-e-sitam ne rasta nahi roka

pehne huwe baydi chalte rahe maula

kehta hai abhi tak sajjad ka sajda

suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain

sha ast hussain....


aada ke tamache rukhsaare sakeena

jhalta huwa damaan garmi ka mahina

kehti thi phuphi se har ek se kehna

suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain

sha ast hussain....


beemare madina woh fatema sughra

darwaze pe baithi takti hai jo rasta

khud ko yehi kehkar deti hai dilasa

suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain

sha ast hussain....


sarwar sare majlis zikre shahe wala

rehaan musalsal is gham ka hawala

dohrata hai har dam tareeq ka jumla

suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain

sha ast hussain....

HomebookmarkmybayaazSetting